Shree Radhe
Traders,
Aapne kabhi notice kiya hai ki kuch chart patterns zyada powerful hote hain aur kuch kam? Aisa kyu hota hai ?
kabhi socha aapne ? nahi socha !!ā¦ā¦abhi 2-5 Min socho ki esa kyu hota hai phr aage padhiyega.
Kya sirf pattern ka structure hi ya phr, uska duration bhi matter karta hai! š„
Aaj baat karte hain ek underrated trading secret ke baare mein: Jiski baat apko Social media me kam hi sunne ko milegi, Agar milegi bhi to in Paid Course.
š "Jo chart pattern jitna time leta hai banne mein, utna hi zyada significant hota hai."
Chart Pattern Formation Ka Time Kyu Matter Karta Hai?
Maan lijiye, do Cup and Handle patterns bane hain:
1ļøā£ Ek sirf 20 candles me form ho gaya.
2ļøā£ Dusra 150 candles le raha hai banne me.
Zyada powerful kaunsa hoga? Obviously, jo zyada time le raha hai! š
Lekin kyun?
1ļøā£ Zyada Traders Ka Dhyaan Jata Hai
Jitna time ek pattern market me spend karega, utna hi zyada traders usko notice karenge. Agar ek pattern intraday me sirf ek do ghante me ban raha hai, toh sirf scalpers ya short-term traders uspe dhyaan denge.
Lekin jo pattern dino ya hafto tak develop hota hai, usko institutional traders, swing traders aur long-term traders bhi track karte hain. Yeh zyada significant hota hai, aur jab breakout ya breakdown hota hai toh impact bada hota hai!
2ļøā£ Market Me Zyada Orders Build Hote Hain
Jitna bada pattern, utni zyada positioning market me hoti hai. Example lo ek Descending Triangle pattern ka:
ā
Bulls jo breakout ka wait kar rahe hain, wo accumulation karte hain.
ā
Bears jo resistance pe short kar rahe hain, wo stop-loss lagate hain.
ā
Breakout traders neckline ke upar buy orders lagate hain.
ā
Fake-out traders bhi waiting me rehte hain jo breakout fail hone par action lenge.
Result? Jab final breakout hota hai toh speed aur volume dono high hote hain. š„
Agar pattern jaldi bana toh orders utne nahi hote aur move zyada strong nahi hoga. Lekin agar pattern ek lambe time tak develop ho raha hai, toh bigger move aane ke chances badh jaate hain.
3ļøā£ Smart Money Zyada Interest Dikhata Hai
Institutions aur professional traders usually higher timeframe patterns ko zyada prefer karte hain kyunki unme fake moves aur manipulation kam hoti hai. Agar ek Double Bottom pattern sirf ek chhote time frame pe ban raha hai, toh shayad sirf intraday traders uspe dhyaan denge.
Lekin agar wahi pattern daily ya weekly timeframe pe form ho raha hai, toh institutions aur hedge funds bhi trade karenge. Yeh volume aur momentum dono ko boost deta hai.
Trading Me Isko Kaise Use Karein?
ā Jab bhi koi pattern dikhe, pehle yeh dekho ki uska formation kitne candles me hua hai. Short-term patterns ka impact chhota hota hai, lekin agar pattern higher timeframe pe develop ho raha hai, toh uspe zyada weightage do.
ā Trend continuation aur reversal patterns me yeh rule aur bhi powerful hota hai. Jitna lamba time ek Falling Wedge pattern ya Cup and Handle form hone me leta hai, utni hi badi move hone ke chances badh jaate hain.
ā Fake breakouts se bachne ke liye bhi yeh kaam aata hai. Chhoti duration wale patterns me market jaldi reversal kar sakta hai, lekin long-duration patterns fake-out hone ke chances kam hote hain.
ā Timeframe alignment dekho. Agar ek pattern 15-min timeframe pe form ho raha hai aur ek 4-hour timeframe pe, toh obviously higher timeframe pattern ka impact zyada powerful hoga.
ā Confirmation ka wait karo. Large-duration patterns me breakout ke baad confirmation candle kaafi powerful hoti hai, jo price action ko aur confirm kar sakti hai.
Final Thoughts:
Agle baar koi pattern dekhein, sirf uska shape mat dekhiye. Uska time factor bhi check kariye! Yeh ek powerful edge ho sakta hai jo baaki traders ignore karte hain. š„
Market me paise wahi log banate hain jo extra depth me jaake sochte hain. Aap ab unme se ek hain! š
Stay Disciplined & Trade Smart!
Divya Bihari Das
we want more letter on psychology love it sir..
Mst hai